Mutthi mein Bandh Khayal
Bandh karli mutthi humne, nahi kholenge ab kabhi.. Kuch thode khwab, Kuch thodi khwaishein, Kuch thode Khel, Kuch thodi Hasi, Samet ke rakh di, Ab na khulegi ye mutthi... Chote se kadamo ne jab pehli baar mitti ko chua tha tab, Jo Khushboo dil mein bhari thi wo aaj bhi saanso mein mehek rahi hai... Wo mehek bandh karli maine, Ab na khulegi ye mutthi... Kshitij par aankhein mund kar bharosa kiya, Pankh failaye aanjani si udaan ke liye, Gire aag mein hue raakh.. Wo khakh band karli maine, Ab na khulegi ye mutthi.. Jis muder pe gharonda banaya, jis ghosle mein apana sab sajaya, Wo tutta toh bache bs tinke, Wo tinke bandh karliye maine, Ab na khulegi ye mutthi.. Saanse aur jaan chidki jinpe wo na samajh paye hume kabhi, Na humari un choti ummido ko, Haath aaye wo bs mukhote the, Wo mukhote bandh karliye maine, Ab na khulegi ye mutthi..