Kapkapati Palkein
Kapkapati hai palkein Khwabon ke bojh se.. Sochti hai kya churau is guzartay hue lamhe se.. Kitne pal the jinme bheegi ye palkein, Kuch dafa timtimate Khwab the in palko mein, toh kuch dafa unhi Khwabon ke tukde.. Kuch dafa tujhe rijhaya , toh kuch dafa tujhse ruthi ye palkein.. Ye sab saath lekar Kapkapati hai palkein... Isharo mein dil ki baat kehti, Jhuk kar hasi thitholi karti, Daaman mein aapne uski aahatein bharkar.. Kapkapati hai palkein... Kabhi kisika dard sehlati, Kabhi khud apne mann ko behlati.. Kabhi chattan ban duniya se ladti, Kabhi khud aapna saath de chalti... Yehi dastan sunati, Bhar jivan muskurati.. Kapkapati hai palkein...
ek anshu main kaid hoti hai zindagi ki khushiyan,
ReplyDeleteek hassi main chuppe hote hain lakhoan dard,
shayad iska hi naam zindagi hai jo kehti hai, bas tu ise jita chal.
Very true :)
ReplyDelete:)
ReplyDelete